dil de diya hai dil de diya hai Lyrics

Dil de diya hai, jaan tumhein denge
Daga nahin karenge sanam

Ho...rab di kasam yaara, rab di kasam
Rukh zindagi ne mod liya kaisa Hamne socha nahin tha kabhi aisa

Aata nahin yaqeen, kya se kya ho gaya

Kis tarha main tumse, bewafa ho gaya
Insaaf kar do, mujhe maaf kar do
Itna hi kar do karam

Dil de diya hai, jaan tumhein denge
Daga nahin karenge sanam

Awaargi mein ban gaya diwaana
Maine kyun saadgi ko nahin jaana

Chaahat yahi hai ke, is qadar pyaar doon.. Qadmon mein tere main, toh jahaan waar doon

Chain mera le lo, khushi meri le lo

De do mujhe dedo saare gham

Dil de diya hai, jaan tumhein denge
Daga nahin karenge sanam
Mere ashq keh rahe meri kahaani

Inhein samjho na tum sirf paani

Ro ro ke aansuon ke daag dhool jaayenge

In mein wafa ke rang, aaj ghool jaayenge

Paas tum rahogi, bhool ab na hogi
karoonga na tumpe sitam

Dil de diya hai, jaan tumhein denge
Daga nahin karenge sanam
Ho...rab di kasam yaara, rab di kasam

See also:

56
56.78
D'zrt Imagina comigo (homagen a francisco adam) Lyrics
Ariel Kill Him LePantra Lyrics