Sur Jaane Kya Dhoondhta Hai Lyrics

Jaane kya dhoondta hai, ae mera dil
Tujhko kya chaahiye zindagi

Raaste hi raaste hain, kaisa hai yeh safar
Dhoondti hain jisko nazrein, jaane hai voh kidhar

Jaane kya dhoondta hai, ae mera dil
Tujhko kya chaahiye zindagi - 2

Bechehra sa koi sapna hai voh
Kahin nahin hai phir bhi apna hai voh
Aise mere andar shaamil hai voh
Main hoon behta dariya, saahil hai voh
Hai kahan voh, voh kidhar hai, raaste kuch to bata
Kaun sa uska nagar hai, rehguzar kuch to bata
Dhoondti hain jisko nazrein, jaane hai voh kidhar

Jaane kya dhoondta hai, ae mera dil
Tujhko kya chaahiye zindagi - 2

Soona sa hai mandir, moorat nahin
Khaali hai aaina, soorat nahin
Jeene ka jeevan mein kaaran to ho
Maheke kaise kaliyaan, gulshan to ho
Shamma hai jo mujh mein roshan, voh viraasat kisko doon
Door tak koi nahin hai, apni chaahat kisko doon
Dhoondti hain jisko nazrein, jaane hai voh kidhar

Jaane kya dhoondta hai, ae mera dil
Tujhko kya chaahiye zindagi - 2

See also:

56
56.117
Colour Of Fire Hatemail Lyrics
Anarquia Tropical Satán es la cumbia Lyrics