mehdi hasan zindagi mein to Lyrics

zindagi mein tu sabhi pyar kiya kertay hein
mein tu marr ker bhe meri jaan tujhay chaahoun ga

tu mila hai tu yeh ehsaas howa hai mujh ko
yeh meri umr mohabbat kay liyaay thori hai
ik zara sa gham-e-dooraan ka bhe huq hai jis per
mein nay wo saans bhe teray liyaay rukh chhori hai
tujh pay ho jaounga, qurbaan tujhay chaahoun ga
mein tu marr ker bhe meri jaan tujhay chaahoun ga

apnay jazbaat mein naghmaat rachanay kay liyaay
mien nay dharkan ki tarha dil mein basaya hai tujhay
mein tasavur bhe judai ka bhala kaisay karoun?
mein nay qismat ki laqeeroun say churaya hai tujhay
pyar ka bun kay nigehbaan tujhay chaahoun ga
mein tu marr ker bhe meri jaan tujhay chaahoun ga

teri hur chaap say jultay hein khayaloun mein charagh
jub bhe tu ayee, jagata howa jadoo ayee
tujh ko chhoo loun tu phir aye jan-e-tamanna mujh ko
dair tuk apnay badan say teri khusbhoo ayee
tu bahaaroun ka hai unvaan tujhay chaahoun ga
mein tu marr ker bhe meri jaan tujhay chaahoun ga

zindagi mein tu sabhi pyar kiya kertay hein
mein tu marr ker bhe meri jaan tujhay chaahoun ga

See also:

57
57.66
梁靜茹 01.崇拜r Lyrics
The Michael Schenker Group 11 - Take Me Back Lyrics