05 ye dil tum bin kahin Lyrics

Ye dil tum bin kahin lagataa nahi ham kyaa karen -1
tasavvur mein koi bastaa nahii ham kyaa karen
tumhii kah do ab ae jaan-e-vafaa ham kyaa karen

Lute dil mein diyaa jaltaa nahii ham kyaa karen
tumhi kah do ab ae jaan-e-adaa ham kyaa karen

Ye dil tum bin kahin lagataa nahi ham kyaa kare

Kisii ke dil mein bas ke dil ko tadpaanaa nahi achchhaa - 2
nigaahon ko chhalakate dekhke chhup jaanaa nahii achchhaa,
ummidon ke khile gulashan ko jhulsaanaa nahii achchhaa
humein tum bin koi jach-taa nahii ham kyaa karen,
tumhii kah do ab ae jaan-e-vafaa ham kyaa karen
Lute dil mein diyaa jaltaa nahii ham kyaa karen

Mohabbat kar to le lekin mohabbat raas aaye bhi - 2
dilon ko bohj lagate hai kabhi zulfon ke saaye bhI
hazaaron gam hain is duniyaa mein apane bhi paraaye bhi
muhabbat hi kaa gam tanhaa nahii ham kyaa karen
tumhi kah do ab ae jaan-e-adaa ham kyaa karen
ye dil tum bin kahin lagataa nahi ham kyaa kare

Bujaa do aag dil ki yaa isse khul kar havaa de do - 2
jo isakaa mol de paaye use apani vafaa de do
tumhaare dil mein kyaa hai bas hamen itanaa pataa de do,
ke ab tanhaa safar kat-thaaa nahii ham kyaa karen
Lute dil mein diyaa jaltaa nahii ham kyaa karen
ye dil tum bin kahin lagataa nahi ham kyaa kare

See also:

62
62.92
Sixx A.M. Van Nuys live Lyrics
VICTOR MANUEL-HECTOR Y TITO NOCHE LOBA Lyrics