Alka Yagnik Jhute Ilzaam Lyrics

Kaun kisko yahaan bhalaa samjhaa
Humne kya samjha tum ne kya samjha
Bewafaa humne tumko samjha sanam
Tumne humko hi bewafaa samjha

Jhoote ilzaam meri jaan lagaaya na karo
Jhoote ilzaam meri jaan lagaaya na karo
Dil hai naazuk isse tum aise dukhaaya na karo

Jhoote ilzaam

Meri aankhon mein jo acche nahi lagte aansoo

To jalaaya na karo mujhko sataaya na karo
To jalaaya na karo mujhko sataaya na karo
Dil hai naazuk isse tum aise dukhaaya na karo
Jhoote ilzaam

Tum kisi aur ki qismat mein ho tum mere nahee

Yeh agar sach bhi hai toh mujhko bataaya na karo
Yeh agar sach bhi hai toh mujhko bataaya na karo
Dil hai naazuk isse tum aise dukhaaya na karo
Jhoote ilzaam

Ya to taaveer bataao mere sab khaabon ki

Ya koi khaab in aankhon ko dikhaaya na karo
Ya koi khaab in aankhon ko dikhaaya na karo
Dil hai naazuk isse tum aise dukhaaya na karo
Jhoote ilzaam

Abhi aaye ho abhi baithe abhi jaate ho
Abhi aaye ho abhi baithe abhi jaate ho
Sirf ik rasm nibhaane ko to aaya na karo
Sirf ik rasm nibhaane ko to aaya na karo
Dil hai naazuk isse tum aise dukhaaya na karo
Jhoote ilzaam meri jaan lagaaya na karo
Dil hai naazuk isse tum aise dukhaaya na karo
Jhoote ilzaam

See also:

67
67.41
Natalia Lafourcade (Featuring Leon Larregui) Llevarte A Marte Lyrics
Fear Before the March of Flame Hey Kid, I'm A Computer Stop A Lyrics