Pankaj Udas SABKO MALOOM HAI Lyrics

Sabko malum hai main sharabi nahi phir bhi koi pilaye to main kya karu - 2
sirf ek baar nazaron se nazare mile - 2
(aur kasam toot jaye to main kya karu) - 2

Mujhko maikash samajhte hai sab vaad-a-kash - 2
kyunki unaki tarah ladakhadata hoon main
mere rag rag mein nasha mohabbat ka hai - 3
jo samajh mein na aye to main kya karu
sirf ek bar nazaron se nazare mile - 2
(aur kasam toot jaye to main kya karu) - 2

Haal sunkar mera sehme sehme hai woh - 2
koi aaya hai zulfe bikhere hue
maut aur zindagi dono hairan hai - 3
dum nikal ne na paye toh main kya karu
sirf ek bar nazaron se nazare mile - 2
(aur kasam toot jaye to main kya karu) - 2
dum nikale na paye main kya karu

Kaisi lat kaisi chahat kaha ki khata - 2
bekhudi mein hai anabar khudika nasha
zindagi ek nashe ke siva kuchh nahi - 3
tumko peena na aaye to main kya karu
sirf ek baar nazaron se nazare mile - 2
(aur kasam toot jaye to main kya karu) - 2
Sabko malum hai main sharabi nahi phir bhi koi pilaye to main kya karu - 2

See also:

73
73.38
marco a solis y maricela la pareja ideal Lyrics
Vampire Weekend Exit Music (For a Film) (Radiohead Cover) Lyrics