HINDI Geeta Dutt & Mukesh - Ye_Rate_Ye_Mausam Lyrics

Yeh raaten, yeh mausam, nadee ka kinara, yeh chanchal hawa

Kaha do dilon ne, ke milkar kabhi hum na honge judaa

Yeh kya baat hai, aaj ki chandni mein
Yeh kya baat hai, aaj ki chandni mein
Ke hum kho gaye, pyaar ki raagani mein
Yeh bahon mein baahen, yeh behki nigahen
Lo aane laga zindagi ka maza
Yeh raaten, yeh mausam, nadee ka kinara, yeh chanchal hawa

Sitaron ki mehfil ne karke ishara
Sitaron ki mehfil ne karke ishara
Kaha ab to sara jahaan hai tumhara
Mohabbat jawaan ho, khula aasman ho
Kare koi dil arzoo aur kya
Yeh raaten, yeh mausam, nadee ka kinara, yeh chanchal hawa

Kasam hai tumhe, tum agar mujhse roothe
Kasam hai tumhe, tum agar mujhse roothe
Rahe saans jab tak ye bandhan na toote
Tumhe dil diya hai, ye wada kiya hai
Sanam main tumhari rahoongi sada
Yeh raaten, yeh mausam, nadee ka kinara, yeh chanchal hawa
Kaha do dilon ne, ke milkar kabhi hum na honge judaa
Yeh raaten, yeh mausam, nadee ka kinara, yeh chanchal hawa

See also:

78
78.36
Thanos Petrelis Etsi Eimai Lyrics
Antonio Todo Te Di Lyrics