Javed Ali Jashn-E-Bahaara Lyrics

Kehne ko jashn-e-bahaara hai
(it might seem like a wind full of celebration...)
Ishq yeh dekh ke hairaan hai
(but love itself is surprised to see this...)
Kehne ko jashn-e-bahaara hai
Ishq yeh dekh ke hairaan hai

phool se khushboo khafaa khafaa hai gulshan mein
(the fragrance is upset from the flower itself...)
chhupaa hai koi ranj fizaa ki chilmann mein
(there seems to be sense of sadness in the gusty wind...)
saare sehme nazaare hain
(the landscapes look a scared lot...)
soye soye waqt ke dhaare hain
(these moments in time are no more lively...)
aur dil mein khoyee khoyee se baatien hain
(and some things kept well hidden in the two hearts)

ho...
Kehne ko jashn-e-bahaara hai
Ishq yeh dekh ke hairaan hai
phool se khushboo khafaa khafaa hai gulshan mein
chhupaa hai koi ranj fizaa ki chilmann mein

kaise kahen kya hai sitam
(how shall one say, what this pain is...)
sochte hain ab yeh hum
(I am forced to give it a thought...)
koi kaise kahen woh hain ya nahin hamaare
(how shall I know whether she belongs to me yet, o doesn't...)
karte to hain saath safar
(even thought we tread the paths together...)
faasle hain, phir bhi magar
(there seems to be distance between the both of us...)
jaise milte nahin kisi dariya ke do kinaare
(as if the two ends of a river may never meet...)

paas hain fir bhi paas nahin
(she is with me, and even then she isn't...)
hum ko yeh gham raas nahin
(and this isn't acceptable to me...)
sheeshe ki ik deewar hai jaise darmiyaan
(as if there is a wall of glass between us two...)
saare sehme nazaare hain
soye soye waqt ke dhaare hain
aur dil mein khoyee khoyee se baatien hain

ho...
Kehne ko jashn-e-bahaara hai
Ishq yeh dekh ke hairaan hai
phool se khushboo khafaa khafaa hai gulshan mein
chhupaa hai koi ranj fizaa ki chilmann mein

hum ne jo tha naghmaa suna
(the melodies which I had heard once...)
dil ne tha usko chunaa
(let my heart choose it above all...)
yeh daastaan humein waqt ne kaisi sunaaye
(but what lesson is this time teaching me?...)
hum jo agar hai gham-gin
(even as I am not happy...)
woh bhi udhar khush toh nahin
(on the other hand, she isn't happy too...)
milaqaaton mein jaise ghul si gayee tanhaayee
(seems like loneliness overshadows our meetings...)
milke bhi hum milte nahin
(we meet, ye it isn't a meeting...)
khil ke bhi gul khilte nahin
(love blossoms, though not in it's full glory)
aankhon mein hai bahaarein, dil mein khizaa
(the eyes are full of love, yet the heart isn't...)
saare sehme nazaare hain
soye soye waqt ke dhaare hain
aur dil mein khoyee khoyee se baatien hain

ho...
Kehne ko jashn-e-bahaara hai
Ishq yeh dekh ke hairaan hai
phool se khushboo khafaa khafaa hai gulshan mein
chhupaa hai koi ranj fizaa ki chilmann mein

See also:

83
83.32
Arcangel 11.ArCanGel - Tengo Tantas Ganas Lyrics
Sonu Nigam, Madhushree In Lamhon Ke Daaman Mein Lyrics