Beete Lamhein KK Lyrics

main yahaan tu wahan
zindagi hai kahan

tu hi tu hain sanam dekhta hun jahan
neend aati nahin, yaad jati nahi
bin tere ab jiya jaaye na

main yahan tu wahan
zindagi hai kahan

waqt jaise theher gaya hai yahin
har taraf ek ajab udasi hai
bekarari ka aisa alam hai
j___ tanha hai ruh pyaasi hai

teri surat har ek bar
kyun nazar se hatti nahin
rat din to kat jate hain
umra tanha katti nahin

chahke bhi na kuch keh sakun tujhse main
dard kaise karun main bayan

main yahan tu wahan
zindagi hai kahan

jab kahin bhi aahat hui
yun laga ki tu aa gaya
khushbu ki jhoke ki tarah
meri saasein mehka gaya

ek vo daur tha hum sada paas the
ab to hai faasle darmiyan

main yahan tu wahan
zindagi hai kahan

biti baatein yaad ati hai
jab akela hota hun main
bolti hai khamoshiyan
sab se chupke rota hun main

ek arsa hua muskuraye hue
aasuon mein bhari daastan

main yaha tu vahan
zindagi hai kahan

tu hi tu hain sanam dekhta hun jahan
neend aati nahin, yaad jati nahi
bin tere ab jiya jaaye na

See also:

83
83.94
黎明 長情 Lyrics
Carlos Gardel Copetín, vos sos mi Hermano Lyrics