Javed Ali Jashn-E-Bahaaraa Lyrics

Jashn e bahara

Kehne ko jashn e bahara hain
(To say its like a celebration of Spring)
Ishq yeh dekh ke hairaan hai
(Love is amazed to see this all)

Phool se khushboo khafa khafa hain gulshan mein
(The flower is annoyed with its fragrance in the garden)
Chupa hain koi ranjh fiza ki chilman mein
(There is an unseen grief behind the veil of the surroundings)
Saare sehmay nazaare hain soye soye waqt ke dhaare hain
(The scene around is filled with silence, Time drifts into a slumber/sleep)
Aur dil mein khoyi khoyi si baatein hain
(Some lost thoughts remain in the heart)

Kehne ko jashn e bahara hain
(To say its like a celebration of Spring)
Ishq yeh dekh ke hairaan hai
( Love is amazed to see this all)
Phool se khushboo khafa khafa hain gulshan mein
(The flower is annoyed with its fragrance in the garden)
Chupa hain koi ranjh fiza ki chilman mein
(There is an unseen conflict behind the veil of the surroundings)

Verse 1
Kaise kahein kya hain sitam
(How would one say whats the pain)
Sochte hain ab yeh hum Koi kaise kahe who hain ya nahi humare?
(I keep thinking about it now, that how would I know If she belongs to me or not?)
Karte to hai saath safar faasle hain fir bhi magar
(Though we journey together, yet there are some distances in between us)
Jaise milte nahi kisi dariya ke do kinare
(Just like how two banks of the river never meet)
Paas hai phir bhi paas nahi, Humko yeh ghum raas nahi
(We are so close yet so far, I cannot accept this despair at all)
Sheeshe ki ek deewar hai jaise darmiyaan
(Its like a wall of glass that divides us in between)

Saare sehmay nazaare hain soye soye waqt ke dhaare hain
(The scene around is filled with silence, Time drifts into a slumber/sleep)

Aur dil mein khoyi khoyi si baatein hain
(Some lost thoughts remain in the heart)

Verse 2
Humne jo tha nagma suna, dil ne tha usko chuna
(The song that I had heard was chosen straight from the heart)
Yeh daastan hume waqt ne kaisi sunayee
(But time hummed a different tale for us)
Hum jo agar hai ghumgeen, who bhi udhar khush to nahi
(If I am sad in here, she is not at all happy there)
Mulaqato mein hai jaisi ghul si gayee tanhayee
(Loneliness has filled up our meeting)
Milke bhi hum milte nahi, Khilke bhi gul khilte nahi
(We meet but we don't unite, The flowers bloom but they don't blossom)
Aankho me hain bahaarey, dil mein Khiza.
((My eyes envision Spring, but my heart senses the Autumn)

Saare sehmay nazaare hain soye soye waqt ke dhaare hain
(The scene around is filled with silence, Time drifts into a slumber/sleep)
Aur dil mein khoyi khoyi si baatein hain
(Some lost thoughts remain in the heart)

See also:

84
84.66
ברי סחרוף רואים שלא רואים Lyrics
Canibus Uni-4-Orm Lyrics