Bharat Ek Khoj ending & title Lyrics

Srushtee se pehle sat nahin thaa, asat bhi nahin
Antariksh bhi nahin,aakash bhin nahin thaa
Chhipaa thaa kyaa kahaan, kisne dekhaa thaa
Us pal to agam, atal jal bhi kahaan thaa

Shushtee kaa kaun hain kartaa, Kartaa hain yeh vaa akartaa
Oonche aakaah mein rahtaa Sadaaa adhyaksh banaa rahtaa
Wohin sach much mein jaantaa..
Yaa nahin bhi jaanataa Hai kisi ko nahin pataa Nahin pataa Nahin pataa Nahin hai pataa

Voh tha hiranya garbh srishti se pehle vidyamaan
Vohi to saare bhoot jaat ka swami mahaan
Jo hai astitvamaana dharti aasmaan dhaaran kar
Aise kis devta ki upasana kare hum avi dekar
Jis ke bal par tejomay hai ambar
Prithvi hari bhari sthapit sthir
Swarg aour sooraj bhi sthir
Aise kis devta ki upasana kare hum avi dekar

Garbh mein apne agni dhaaran kar paida kar
Vyapa tha jal idhar udhar neeche upar
Jagaa chuke vo ka ekameva pran bankar
Aise kis devta ki upasana kare hum avi dekar

Om ! Srishti nirmata swarg rachayta purvaj rakhsa kar
Satya dharma palak atul jal niyamak raksha kar
Phaili hain dishayen bahu jaisi uski sab mein sab par
Aisi hi devta ki upasana kare hum avi dekar Aisi hi devta ki upasana kare hum avi dekar

See also:

90
90.70
Gatillazo ¿kien? Lyrics
Esta tarde Lyrics