sonia Dil Ke Armaan Lyrics

Dil ke armaan aansuon mein beh gaye

Dil ke armaan aansuon mein beh gaye -2
Hum wafa karke bhi tanha reh gaye
Dil ke armaan aansuon mein beh gaye

Zindagi ek pyaas bankar reh gayi -2
Pyar ke kisse adhoore reh gaye -2
Hum wafa karke bhi tanha reh gaye
Dil ke armaan aansuon mein beh gaye

Shayad unka aakhri ho yeh sitam -2
Har sitam yeh sochkar hum seh gaye -2
Hum wafa karke bhi tanha reh gaye
Dil ke armaan aansuon mein beh gaye

Khudko bhi humne mita daala magar
Faasle jo darmiyaan the reh gaye -2
Hum wafa karke bhi tanha reh gaye
Dil ke armaan aansuon mein beh gaye

See also:

95
95.60
Duman Duman - Hayatı yaşa Lyrics
Black Panda Redneck Zombie Lyrics