Ali Sher Shaam Lyrics

shaam ke surmayi andhairon mein
yun meray dil ke daagh jaltay hain
jaisay parbat ke sabz pairron par
barf ke baad dhoop parti hai
jaisay sehra ki rait urr urr kar
ajnabi ka tawaf karti hai

door reh kar jo dil mein rehta hai
woh situm gar bhi ghair kehta hai
kitni masoom arzoo'on ko
iss tarah log torr jatay hain
jaisay dum tortay musfir ko
qafilay waalay chorr jatay hain

aahain bharta hoon ashk peeta hoon
roz marta hoon phir bhi jeetahoon
teri yaadon ki tishnagi abb tak
yun meray dil ko thaam leti hai
jaisay ik taza qabar par baiwa
marnay walay ka naam leti hai

shaam ke surmayi andhairon mein
yun meray dil ke daagh jaltay hain
jaisay parbat ke sabz pairron par
barf ke baad dhoop parti hai
jaisay sehra ki rait urr urr kar
ajnabi ka tawaf karti hai

See also:

98
98.15
東方神起 One(Korean) Lyrics
Colin James Let's Shout Lyrics