S. Mahadevan Breathless2 Lyrics

main hoon aur khoye pyaar ki yaadein (3)

ab jo mere din aur ab jo meri raatein hain unmein sirf aasun hain unmein sirf dard ki ranj ki baatein aur faryadein hain mera ab koi nahin main hoon aur khoye hue pyaar ki yaadein
doob gaya hai dil gham ke andhare meri saari duniya hai dard ke ghere main
mere saare geet dhale aahon main
banke deewana ab yahan wahan firta hoon
thokar khata hoon un rahaon main
jahan use dekha tha jahan use chaha tha
jahan main hasa tha aur badmein roya tha
jahan use paya tha pake khoya tha
jahan kabhi fulon ke kaliyo ke saaye the
rangeen rangeen mehki rut main har ek kadam pe ras rachaye the
gulshan gulshan din main ujale the
jag mag jag mag noor tha raaton main
jhil mil jhil mil
jahan maine khabon ki dekhi thi manjil
jahan meri kashti ne paya tha sahil
jahan maine payai palkhon ke chhav
jahan meri bahon main nikhalti kisi ki mari mari bahein
jahan ek chehre se hatti nahi thi meri nigahein
jahan kal narmi narmi hi thi pyar hi payaar hi tha hathon haththe
jahan kal gaye the prem tarane
jahan kal dekhe the sapne sunahne
kisi ko sunaye the dil ke fasane
jahan kal khayi thi jeene ki marne ki kasme todi thi duniya ki saari rasmein
jahan kal barsa tha prit ka badal
jahan maine thama tha koi aachal
jahan pehli baar mein hua tha pagal ab uun rahon mein koi nahi hai ab hai woh rahe ........
dil bhi jaise hairan hairan jaane kaha gaya mera sapno ka mela
aise hoi khayalo mein khoya khoya
ghum raha tha mein kabse akela
chamka sitara jaise koi gagan mein
gunj .......angan mein
kisis ne pukara mujhe mud ke jo dekha maine mil gaya dil ka sahara mujhe jise maine chaha tha jise maine puja tha
lot ke aaya hai thoda sharminda thoda ghabraya hai
zulf pareshan kapte hout aur bheegi hui ankhen
dekh raha mujhe gum sum gum sum uski nazar jaise puch rahi hai itna toh bata do kahi khafa toh nahi tum pyaar jo dakhi meri nigahoon mein
aab nahi palkhon meri woh meri bahon mein
bhool gaya mera dil jaise har gham badal gaya jaise duniya ka mausam
jhome nazare aur jhumi fizaien aur jhome the mann aur jhumi hawaein
jaise phir gaane lagi saari dishayen
kitni hasi hai kitni suhani
hum dono ki prem kahani(3)

See also:

101
101.66
Nhật Tinh Anh Cơn Mưa Bắt Đầu Tình Yêu Lyrics
Rojo Rojo - Dios de Maravillas Lyrics