Pankaj Udhas Ek Taraf Uska Ghar Ek Taraf Maikada [Nayaab] Lyrics

Teri nigaah se aisi sharab pi maine ki phir na hosh ka daava kiya kabhi maine
woh aur honge jinhe maut aa gayi hogi nigaahen yaar se paayi hai zindagi maine

(ai gam-e-zindagi - 2 kuchh to de mashwara) 2
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada - 2
main kaha jaaun hota nahi faisala
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada - 2

ek taraf baam par koi gulpham hai ek taraf mehfilen bada-o-jaam hai - 2
dil ka donose hai kuchh na kuchh hai vaasta
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada - 2

usake dar se utha to kidhar jaaunga maikada chhod dunga to main marr jaaunga - 3
sakht mushkil mein hoon kya karu ai khuda
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada - 2

zindagi ek hai aur talabgar do jaan akeli magar jaan ke haqdaar do - 2
dil bata pehele kiska karu hak ada
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada - 2

is taaluk ko main kaise todu jafar kisko apanaau main kisako chodu zafar - 3
mera donose rishta hai nazdik ka
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada - 2

(ai gam-e-zindagi - 2 kuchh to de mashwara) 2
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada - 2
main kaha jaaun hota nahi faisala
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada - 2

See also:

104
104.30
A-Ha Take On M Lyrics
Makrina 3aderfia Pam - Pam Lyrics