Xulfi Laree Choote Lyrics

woh kehte hai na
jo hota hai achche ke liye hota hai
galat kehte hai

kismat ka khel hai saara
phirta tha main aawaara
yeh kya se kya ho gaya
chaar din ki zindagaani
har pal ek nayi kahaani
kya tha, main kya bana gaya
kya huva jo laaree chhooti
jivan ki gaadi looti
kwaab hai toh mujhko na jaga
zindagi ek pal mein saali
yuun palat gayi hamaari
zhoot hai toh mujhko na bata

mumbai, suna tha yahaan aadami puri zindagi apani kismat
slow track se fast track laane mein nikaal deta hai
par dhaayi ghante mein meri kismat
aise slow track se fast track par aa jaayegi
yeh maine kabhi socha nahi tha
saja maja ban jaayegi, yeh bhi kabhi socha nahi tha
last local kya chhuti, saala kismat patari par aa gayi

karlo jo bhi karna hai
hota hai jo hona hai
gujra toh pal yeh phir na aayega
kya bura hai kya bhala hai
waqt hi shaayad khuda hai
ho jaane do phir dekha jaayega
kya huva jo laaree chhooti
jivan ki gaadi looti
kwaab hai toh mujhko na jaga
zindagi ek pal mein saali
yuun palat gayi hamaari
zhoot hai toh mujhko na bata

woh kehte hai na
jo hota hai achche ke liye hota hai
sahi kehte hai
jivan ki gaadi looti

See also:

104
104.57
Music & Lyrics Entering Bootytown Lyrics
Music & Lyrics Slam Lyrics