udit narayan awwara awwara Lyrics

(Aawaara kehta tha mujhe yeh jahaan
Jis din se paaya jaanam tujhe meherbaan) - 2
Aabaad hone lagi sooni si yeh zindagi
Karne laga pyaar main, karne laga aashiqui
Mere dil ne pukaara, aawaara aawaara aawaara
Aawaara kehta tha mujhe yeh jahaan
Jis din se paaya jaanam tujhe meherbaan
Aawaara kehta tha
Kuch tere jalwon ne deewaana kiya
Kuch to is dil se bhi sharaarat hui
Mere tasavur mein basi tu hi tu
Tujhse o jaanam yun mohabbat hui
Sadiyon se mujhko bhi teri aarzoo
Badli hai kismat yeh mili jab se tu
Aabaad hone lagi sooni si yeh zindagi
Karne laga pyaar main, karne laga aashiqui
Mere dil ne pukaara, aawaara aawaara aawaara
Aawaara kehta tha
Jis din se nazaron mein tu shaamil hui
Har shay mein karta hoon nazaara tera
Yunhi bhatakta rehta main saari umar
Mujhko agar na milta sahaara tera
Ab koi hasrat hai na kuch aas hai
Teri vafa ab to mere paas hai
Aabaad hone lagi sooni si yeh zindagi
Karne laga pyaar main, karne laga aashiqui
Mere dil ne pukaara, aawaara aawaara aawaara

See also:

108
108.123
Snoop Doggy Dogg Tha Doggfather Lyrics
L.U.Z.A Poď žiť s nami Lyrics