Lata Mangeshkar Mera Dil Ye Pukare Lyrics

mera dil ye pukaare aa jaa
mere gham ke sahaare aa jaa
bhiga-bhiga hai sama
aise men hai tu kahaan
mera dil ye pukaare aajaa..................

tu nahin to ye rrut, ye hava kya karun, kya karun
tu nahin to ye rrut, ye hava kya karun
dur tujh se main rah ke bata kya karun, kya karun
suna-suna hai jahaan, ab jaaun main kahaan
bas itana mujhe samajha jaa
bhiga-bhiga hai sama
aise men hai tu kahaan
mera dil ye pukaare aajaa..................

aandhiyaan vo chalin, aashiyaan lut gaya, lut gaya
aandhiyaan vo chalin, aashiyaan lut gaya
pyaar ka muskuraata jahaan lut gaya, lut gaya
ek chhoti si jhalak, mere mitane talak
o chaand...
o chaand mere dikhala jaa
bhiga-bhiga hai sama
aise men hai tu kahaan
mera dil ye pukaare aajaa..................

munh chhupa ke meri zindagi ro rahi, ro rahi
din dhala bhi nahin, shaam kyon ho rahi, ho rahi
teri duniya se ham, le ke chale tera gham
dam bhar ke liye to aa ja
bhiga-bhiga hai sama
aise men hai tu kahaan
mera dil ye pukaare aajaa..................

See also:

109
109.55
Bereczki Zoltán - Szinetár Dóra Szívbol szeretni - Rómeó és Júlia Lyrics
eric clapton Blue Condition Lyrics