Om Shanti Om Dastaan-E-Om Shanti Om Lyrics

Sunne walo, suno aisa bhi hota hai
Dil deta hai jo, woh jaan bhi khota hai
Pyaar aisa jo karta hai,
Kya mar ke bhi marta hai
Aao tum bhi aaj sunlo

Dastaan hai ye ke
Ek tha naujawaan jo dil hi dil mein
Ek haseena ka tha deewana
Woh haseena thi ke jiski khoobsoorthi
Ka duniya bar mein tha mashoor afsaana
Dono ki yeh kahani hai jisko sabhi
Kehte hai om shanti om

Naujawaan ki thi aarzoo,
Uski thi yeh hi justujoo
Us haseena mein usko mile ishq ke saare rang kabool
Naujawaan ki thi aarzoo,
Uski thi yeh hi justujoo
Us haseena mein usko mile ishq ke saare rang kabool
Usne na jana yeh naadani hai
Woh reth ko samja ke pani hai
Kyun aisa tha, kisliye tha,
Yeh kahani hai

Dastaan hai ye ke
Us dilkash haseena ke
Nigahon dil mein koi doosra hi tha
Be-khabar iss baat se
Us naujawaan ke kwabo
Ka anjam tho hona bura hi tha
Toote kwabon ki us dastaan ko sabhi
Kehte hai om shanti om

Sune walo, suno aaisa bhi hota hai
Koi jitna hase utna hi roota hai
Deewani hoke haseena,
Khaye kya dhoke haseena
Aao tum bhi aaj sunlo

Dastaan hai ye ke
Us masoom haseena ne jise
Chaaha woh tha aandar se harjaye
Sang dil se dil lagake bewafa ke haat aake
Usne ek din maut hi paaye
Ek sitam ka phasana hi jisko sabhi
Kehte hai om shanti om

Kyun koi qaatil samjtha nahi,
Ke jurm woh hai jo chuptha nahi
Yeh daag woh hai jo mitha nahin
Rehta hai khooni ke haat par
Khoon us haseena ka jab tha huwa
Koi wahan tha pohunch to gaya
Lekin use woh bacha na saka
Roya tha pyaar uski maut par

Dastaan hai ye ke
Jo pehchaan tha hai khooni ko
Woh naujawaan hai laut ke aaya
Keh rahi hai zindagi qaatil samaj le
Uske sar pe cha chuka hai maut ka saaya
Janmo ki karmo ki hai kahani jise
Kehte hai om shanti om
Kehte hai om shanti om
Kehte hai om shanti om

See also:

2
2.22
Plain White T's If I Told You Lyrics
Sanisah Huri Selamat Hari Raya Lyrics