Zara Zara Bombay Jayashree Lyrics

(Zara zara bahekta hai, mahekta hai
Aaj to mera tan badan, main pyaasi hoon
Mujhe bhar le apni baahon mein) - 2
Hai meri kasam tujhko sanam, door kahin na jaa
Yeh doori kehti hai paas mere aaja re

Yunhi baras baras kaali ghata barse
Hum yaar bheeg jaaye is chaahat ki baarish mein
Meri khuli khuli laton ko suljhaaye
Tu apni ungliyon se main to hoon isi khwaahish mein
Sardi ki raaton mein hum soye rahe ek chaadar mein
Hum dono tanha ho, na koi bhi rahe is ghar mein

Zara zara bahekta hai, mahekta hai
Aaj to mera tan badan, main pyaasi hoon
Mujhe bhar le apni baahon mein
Aaja re aa re

Tadpaaye mujhe teri sabhi baatein
Ek baar ae deewane jhootha hi sahi pyaar to kar
Main bhooli nahin haseen mulaaqaatein
Bechain karke mujhko mujhse yun na pher nazar
Roothega na mujhse, mere saathiya yeh vaada kar
Tere bina mushkil hai jeena mera mere dil mein

Zara zara bahekta hai, mahekta hai
Aaj to mera tan badan, main pyaasi hoon
Mujhe bhar le apni baahon mein
Hai meri kasam tujhko sanam, door kahin na jaa
Yeh doori kehti hai paas mere aaja re
Aaja re, aaja re, aaja re

See also:

118
118.76
Various Artists Pyarkesideeffects-05Jaanekya Lyrics
Witch Doctor Alvin & The Chipmunks/Chris Classic Lyrics