Lata Mangeshkar, Anup Jalota Solah Baras Ki Bali Lyrics

Koshish kar k dekh lay darya saray, nadiyan sari
Dil kee lagi nahi bujhti, bujhti hae har chingari..

Sola baras kee
Sola baras kee bali umr ko salam
Aae pyar teri pehli nazar ko salam
salam
aae pyar teri pehli nazar ko salam
dunya main sab se pehlay jisnay ye dil dia
dunya k sab se pehlay dilbar ko salam
dil se nikalnay walay rastay ka shukria
dil tak puhanchnay wali dagar ko salam
aae pyar teri pehli nazar ko salam
salam
aae pyar teri pehli nazar ko salam

j___ain jawan ho kar badnam ham huay
j___ain jawan ho kar badnam ham huay
us shehr us gali us ghar ko salam
jisnay hamain milaya jisnay juda kia
us waqt us ghari us gajar ko salam
aae pyar teri pehli nazar ko salam
salam
aae pyar teri pehli nazar ko salam

miltay rahay yahan ham ye hae yahan likha
iss likawat kee zaer o zabar ko salam
sahil kee raet per yun lehra utha ye dil
sagar main uthnay wali har lehr ko salam
in mast gehri gehri ankhun kee jheel main
jisnay hamain daboya uss bhanwar ko salam
ghunghat ko tor ker jo sir se sarak gai
aesi nigori dhani chunar ko salam
ulfat k dushmanun ne
ulfat k dushmanun ne koshish hazar kee
phir b nahi jhuki jo uss nazar ko salam
aae pyar teri pehli nazar ko salam
sola baras kee bali umr ko salam
aae pyar teri pehli nazar ko salam
salam
aae pyar teri pehli nazar ko salam

See also:

119
119.92
Lata Mangeshkar, Sp Balasubrahmanyam Hum Bane Tum Bane Lyrics
The Analyst Inhuman Existence Lyrics