Jaane Tu Ya Jaane Na Kahin To Hogi Ho Lyrics

kahin to, kahin to
hogi woh duniya jahaan tu mere saath hai
jahaan main, jahaan tu
aur jahaan bas tere mere jazbaat hain

hogi jahaan subah teri
palkon ki kirnon mein
lori jahaan chaand ki
sune teri baahon mein

jaane na kahan woh duniya hai
jaane na woh hai bhi ya nahin
jahaan meri zindagi mujhse
itni khafa nahin

jaane na kahan woh duniya hai
jaane na woh hai bhi ya nahin
jahaan meri zindagi mujhse
itni khafa nahin

saansein kho gayi hai kiski aahon mein
main kho gayi hoon jaane kiski baahon mein
manzilon se raahein dhoondti chali
aur kho gayi hai manzil kahin raahon mein

kahin to, kahin to
hai nasha teri meri har mulaqat mein
hothon se, hothon ko
choomte rehte hain hum har baat pe

kehti hai fiza
jahaan tere zameen-asmaan
jahaan hai tu
meri hasi, meri khushi, meri jaan

jaane na kahaan woh duniya hai
jaane na woh bhi ya nahin
jahaan meri zindagi mujh se
itni khafa nahin

jaane na kahaan woh duniya hai
jaane na woh bhi ya nahin
jahaan meri zindagi mujh se
itni khafa nahin

jaane na kahaan woh duniya hai
jaane na woh bhi ya nahin
jahaan meri zindagi mujh se
itni khafa nahin

See also:

123
123.102
Bröderna Dobermann 02 - Hagfeörsjänter Lyrics
Albano e Romina Nel sole Lyrics