Runa Rizvi Jaane Tu Mera Kya Hai (Aditi) Lyrics

jane tu mera kya hai
jane tu mere kya tha
tu hi mera har pal, tu hi har lamha tha

jane kaisi kashish hai, jane kaisi khalish hai
kyun ye saans thami hai, aankho me kyun nami hai

hai dosti humako yakeen tha, dosti aur kuchh bhi nahi tha
hai kaisa yeh dard naya sa, kyun dil lagata tuta tuta sa

jana dil jana kaise maine na jana
ke pyar yahi hi hai, yeh jaane tu ya jaane na
jana dil jana kaise tune na jana
yeh pyar hi hai, han ye jana tu na jana

jane tu mera kya hai
jane tu mere kya tha
tu hi mera har pal, tu hi har lamha tha

hoti thi tujhase subah har din ki
tere dopaher se sham ki dhoon thi
hoti thi raatein teri baato me khoye
tere khayaalon mein hi jaage aur soye

tu jo nahi toh kya raha

jane tu mera kya hai
jane tu mere kya tha
tu hi mera har pal, tu hi har lamha tha
jane kaisi kashish hai, jane kaisi khalish hai
kyun ye saans thami hai, aankho me kyun nami hai
jana dil jana kaise maine na jana
ke pyar yahi hi hai, yeh jaane tu ya jaane na

jana dil jana kaise tune na jana
yeh pyar hi hai, han ye jana tu na jana

See also:

125
125.54
Lordi 09 Lordi-Shotgun divorce Lyrics
สุรพล สมบัติเจริญ หงษ์ปีกหัก Lyrics