ek chalis ki slow Xulfi - Laree Choote Lyrics

woh kehte hain na, jo hota hai,
achche ke liye hota hai, galat kehte hain...

kismat ka khel hai saara
phirta tha main awara
yeh kya se kya ho gaya,
char din ki zindagani
har pal ek nayi kahani
kya tha main kya ban gaya,
kya hua jo laree choote
jeevan ki gadi looti
khwab hai to mujhko na jaga,
zindagi ek pal mein saali
yun palat gayi humari
jhoot hai to mujhko na bata!!!

mumbai,
suna tha yahan aadmi puri zindagi apni kismat
slow track se fast track main nikal deta hai,
par dhai ghante main meri kismat aise slow
track se fast track par aa jayegi,
yeh maine kabhi socha nahin tha,
saja maza ban jayegi, yeh bhi kabhi nahin socha tha,
last local kya chooti saala kismat patri par aa gaya!!!

karlo jo bhi karna hai
hota hai jo hona hai
gujara to pal yeh phir na ayega,
kya bura hai kya bhala hai
waqt hi shayad khuda hai
ho jane do phir dekha jayega,
kya hua jo laree chooti
jeevan ki gadi looti
khwab hai to mujhko na jaga,
jindagi ek pal mein saali
yun palat gayi hamari
jhoot hai to mujhko na bata!!!

Woh Kehte Hai na , jo hota hai achche ke liye hota hai .. Sahi kehte hain !!

See also:

25
25.81
Rata Blanca 10 La Leyenda Del Hada Y El Mago Lyrics
Xeronimo Y si te olvido Lyrics