Yesudas Jab Deep Jale Aana Lyrics

Jab deep jale aana, jab shaam dhhale aana (2)
Sandes milan ka bhool na jaana mera pyaar na bisraana
Jab deep jale aana...

(Nit saanjh sawere milte hain
Unhein dekhke taare khilte hain) (2)
Lete hain wada ek duje se kehte hain chale aana
Jab deep jale aana...

Main palkan dagar buhaarunga, Teri raah nihaarunga (2)
Meri preet ka kaajal tum apne naino mein male aana
Jab deep jale aana...

Jahaan peheli baar mile the ham, Jis jagaah se sang (2)chale the ham, Nadiya ke kinaare aaj ussi
Ambua ke tale aana
Jab deep jale aana...

See also:

29
29.88
Brandon deskins 6 Feet From the Edge Lyrics
maria jimena pereira si me vas a vandonar Lyrics