Asha Bhosle; Kishore Kumar Jaane Jaan Dhoondta Phir Raha Lyrics

(Jaanejaan dhoondhta phir raha hoon tumhein raat din
Main yahan se vahan) - 2

Female: Mujhko aawaaz do chhup gaye ho sanam tum kahan
Main yahan, Tum kahan, Main yahan

Male: Jaanejaan dhoondhta phir raha hoon tumhein raat din
Main yahan se vahan

Male: (O mere humsafar pyaar ki raah par
Saath chale hum magar kya khabar) - 2
Raaste mein kahin reh gaye humnashi
(Tum kahan, Main yahan) - 2

Female: Jaanejaan dhoondhti phir rahi hoon tumhein raat din
Main yahan se vahan
Mujhko aawaaz do chhup gaye ho sanam tum kahan
Main yahan, Tum kahan, Main yahan

Female: (Dil machalne laga yoonhi dhalne laga
Rang bhara pyaar ka ye sama) - 2
Aaj aise mein bas chhodke chal diye
(Tum kahan, Main yahan) - 2

Male: Jaanejaan dhoondhta phir raha hoon tumhein raat din
Main yahan se vahan

Male: (Paas ho tum khade mere dil mein chhupe
Aur mujhe kuchh pata na chala) - 2
Dil mein dekha nahin dekha saara jahan
(Tum kahan, Main yahan) - 2

Male: Jaanejaan dhoondhta phir raha hoon tumhein raat din
Main yahan se vahan
Mujhko aawaaz do chhup gaye ho sanam tum kahan
Main yahan, Tum kahan, Main yahan

See also:

30
30.65
The Cary Brothers Waiting For Your Letter Lyrics
Bodyjar Make a difference Lyrics