Nishabd Rozana Lyrics

rozaana jiye rozaana mare - 2
teri yaadon mein hum - 2
rozaana - 2

rozaana jiye rozaana mare
teri yaadon mein hum - 2
rozaana

ungali teri thame huye har lamha chalta hoon mein - 2
tujhko liye ghar lautu, aur ghar se nikalta hoon mein
ek pal ko bhi jata nahi tere bin kahin
yun raat din
bas tujhmein hi - 2
lipta rehta hoon mein
rozaana - 4
rozaana jiye rozaana mare
teri yaadon mein hum
rozaana jale rozaana ghoole
teri yaadon mein hum - 2
rozaana - 4

har din teri ankhon se iss duniya ko takta hoon mein
tu jiss tarah rakhti thi ghar, vaise hi rakhta hoon mein
teri tarah sang sang chale yaadein teri
yun har ghadi baaaton mein bas, baaton mein teri
gumsa rehta hoon mein
rozaaana - 4

kuchh gaao to yaad aaate ho...
gungunao to yaad aate ho...
kuchh phehnu to yaad aate ho...
kahin jaanu to yaad aate ho...
kuchh khone pe yaad aate ho...
kuchh paanu to yaaad aate ho...

rozaana chale yaadon mein teri, zindagi ka safar
tujhse hai roshan, tujse hai zinda, (yeh dil ka sheher - 2)
rozaana - 8

See also:

31
31.89
Stereolab Peng! 33 Lyrics
john lennon John Lennon - Instant Karma(1) Lyrics