Ganesh Hegde Jaa Rahe Ho Agar Lyrics

Jaa rahe ho agar duur mujhse sanam
phir mere paas aana nahi
Yeh bhi mumkin nahi main palat na saku
isliye itna wada karo o o o

Mujhko aawaz dena nahin
Mujhko aawaz dena nahin

Jaa rahe ho agar duur muhjse sanam
phir mere paas aana nahi
Yeh bhi mumkin nahi main palat na saku
isliye itna wada karo o o o

Mujhko aawaz dena nahin
Mujhko aawaz dena nahin

Mil bhi jaayen agar hum tumhein raah mein
Pher lena nazar par milana nahin x2

Dekh lu bhi agar tum humein bhool se
apni aankhon mein tum ashk lana nahi

Dil se humko to tum kar chuke ho juda
Aankh se bhi girana nahin
Aankh se bhi girana nahin

Jaa rahe ho agar...

Tumne maangi dua humko miley har khushi
tum hi meri khushi phir kyun miley na hamein x2

Tumne li hai kasam gham na karna kabhi
tum sikhado zara muskurana humein

Tumne keh toh diya yaad karna nahin
Khwaab mein tum bhi aana nahin
Khwaab mein tum bhi aana nahin
Khwaab mein tum bhi aana nahin
Khwaab mein tum bhi aana nahin

jaa rahe ho agar...

See also:

35
35.17
Voltio, Maestro, Tego Calderon de norte a sur Lyrics
Kaleth Morales Todo de Cabeza (Dedicatoria a Silvestre Dangong Acustica) Lyrics