Asha Bhosle Yeh Mera Dil Yaar Ka Deewana (Don) Lyrics

La la la la, li la la la la la la
Yeh mera dil yaar ka deewana
Deewana deewana pyaar ka parwaana
Aata hai mujhko pyaar mein jal jaana
Mushkil hai pyaare tera bachke jaana
Yeh mera dil yaar ka deewana - 2
(Dil voh chaahe jisse, chaahe jisse usse paaye
Pyaar voh yaar ke jo naam pe hi mit jaaye) - 2
Jaan ke badle mein jaan loon nazraana
Yeh mera dil yaar ka deewana
Deewana deewana pyaar ka parwaana
(Pal pal ek halchal, dil mein ek toofaan hai
Aane ko hai voh manzil jiska mujhe armaan hai) - 2
Bhoolna na tujhe dil ka yeh takraana
Yeh mera dil yaar ka deewana
Deewana deewana pyaar ka parwaana
Aata hai mujhko pyaar mein jal jaana
Mushkil hai pyaare tera bachke jaana
Yeh mera dil yaar ka deewana - 2

See also:

37
37.68
Elly Mazlein Usah Ditambah Bara Yang Tersimpan Lyrics
Queen of the night Whitney Houston Lyrics