Alisha Chinoy, Mahalaxmi Iyer, Sonu Nigam Aaj Ki Raat Lyrics

Shaam hai, jam hai aur hai nasha
Tann bhi hai, mann bhi hai, pighla hua
Chhaaee hai rangeeniyan
Phir bhi hai betaabiyan

Kyon dhadakta hai dil
Kyon ye kehta hai dil
Deewanon ko ab tak nahin hai ye pata

Aaj ki raat, hona hai kya
Paana hai kya, khona hai kya

Do ghadi mein hi yahan jaane kya hoga
Jo humesha tha mera, phir mera hoga
Kaun kiske dil mein hai faisla hoga
Faisla hai yahi...jeet hogi meri
Deewanon ko ab tak nahin hai ye pata

Aaj ki raat, hona hai kya
Paana hai kya, khona hai kya

Aao main tumse kahoon baat chupke se
Rang badalegi pal mein raat chupke se
Tumko le jaaoonga phir saath chupke se

Jaaoge tum kahan
Dekho mein hoon yahan

Deewanon ko ab tak nahin hai ye pata

Aaj ki raat, hona hai kya
Paana hai kya, khona hai kya

Aaj ki raat, hona hai kya
Paana hai kya, khona hai kya

See also:

44
44.112
Thirsty Merc Like Snow Lyrics
D2B ไม่มีเธอวันนั้น...ไม่มีฉันวันนี้ Lyrics