Don HINDI - Don - Aaj Ki Raat Lyrics

shaam hai jaam hai aur hai nasha
tan bhi hai mann bhi hai pighla huaan
chhayi hai ranginiya phir bhi hai betaabiyan
kyun dhadakta hai dil
kyun yeh kehta hai dil
deewanon ko ab tak nahi hai yeh pata
aaj ki raat khona hai kya paana hai kya
khona hai kya
aaj ki raat khona hai kya paana hai kya
khona hai kya

do ghadi mein yahaan jaane kya ho gaya
jo hamesha tha mera dil mera ho gaya
kaun kiske dil mein hai faisala hoga
faisala hai yahi jeet hogi meri
deewaanon ab tak nahi hai yeh pata
aaj ki raat khona hai kya paana hai kya
khona hai kya
aaj ki raat khona hai kya paana hai kya
khona hai kya

aaon main tumse kahu baat chupke se
rang badlegi pal mein raat chupke se
tumko le jaaunga phir saath chhupke se
jaaoge tum kahaan dekho main yahaan
deewaanon ab tak nahi hai yeh pata
aaj ki raat khona hai kya paana hai kya
khona hai kya
aaj ki raat khona hai kya paana hai kya
khona hai kya

See also:

46
46.3
W.A.S.P. 03 - L.O.V.E. Machine Lyrics
Sailor Moon La Leyenda de la Luz de Luna Lyrics