Xulfi Ek Chalis Ki Last Local- Laree Choote Lyrics

Ek Chalis Ki Last Local- Laree Choote
by Xulfi

woh kehte hain na, jo hota hai,

achche ke liye hota hai, galat kehte hain...

kismat ka khel hai saara

phirta tha main awara

yeh kya se kya ho gaya,

char din ki zindagani

har pal ek nayi kahani

kya tha main kya ban gaya,

kya hua jo laree choote

jeevan ki gadi looti

khwab hai to mujhko na jaga,

zindagi ek pal mein saali

yun palat gayi humari

jhoot hai to mujhko na bata!!!

mumbai,

suna tha yahan aadmi puri zindagi apni kismat

slow track se fast track main nikal deta hai,

par dhai ghante main meri kismat aise slow

track se fast track par aa jayegi,

yeh maine kabhi socha nahin tha,

saja maza ban jayegi, yeh bhi kabhi nahin socha tha,

last local kya chooti saala kismat patri par aa gayi!!!

karlo jo bhi karna hai

hota hai jo hona hai

gusra to pal yeh phir na ayega,

kya bura hai kya bhala hai

waqt hi shayad khuda hai

ho jane do phir dekha jayega,

kya hua jo laree choote

jeevan ki gadi looti

khwab hai to mujhko na jaga,

jindagi ek pal mein saali

yun palat gayi hamari

jhoot hai to mujhko na bata!!!

See also:

49
49.99
바다 Find The Way Lyrics
Robert Long Robert Long - Huil maar(2) Lyrics